Wo Paikar-E-Bahaar The Jidhar Se Wo Guzar Gaye

Ghulam Ali

Compositor: Não Disponível

wo paikar-e-bahaar the jidhar se wo guzar gaye
kizaan-nasib raaste bhi saj gaye sanwar gaye

ye baat hosh ki nahin ye rang bekudi ka hai
main kuchh jawaab de gaya wo kuchh sawaal kar gaye

meri nazar ka zauq bhi shariq-e-husn ho gaya
wo aur bhi sanwar gaye wo aur bhi nikhar gaye

hamein to shauq-e-justaju mein hosh hi nahin raha
suna hai wo to baaraha qarib se guzar gay

©2003- 2024 lyrics.com.br · Aviso Legal · Política de Privacidade · Fale Conosco desenvolvido por Studio Sol Comunicação Digital